Nayi Ri Lagan Aur Mithi Batiyaan

Singer: Yesudas, Madhurani, Kumari Faiyyaz
Writer: Rahi Masoom Raza
Composer: Jaidev Verma
Movie/Album: Alaap

Nayi ri lagan aur mithi batiyaan

Piya jaane aur jiya mora jaane, sakhi
Kis kis baat pe dhadake chhatiyaan
Piya jaane aur jiya mora jaane, sakhi

Baal bhi ulajhe hain sapane bhi
Duuje laage hain apane bhi
Ho gaye ham kyon aise divaane
Piya jaane aur jiya mora jaane, sakhi

Kaaga ja, ja ja ja (2)
Ja re kaaga ja, ja ja ja, ja re

Na de more piya ko sandesava
Ja ja ja re ja re
Kaaga ja
Piya naahi aaye, piya naahi aaye
More aali kaise kare man kab jaayuun
Piya naahi aaye, piya naahi aaye

Barase badaraiya saavan ki
Saavan mein gum kyon mera manava
Bhanak suni piya aavan ki
Umad ghumad chahuun dish so aayo
Bijuri chamake jhar laavan ki
Barase badaraiya saavan ki