Lakho Log Chale Hai Bilakhte

Deepak Dhande Thu 24th Sep 2015 : 14:58 Movie / Album - Amar Rahe Ye Pyar

Lakho log chale hai bilakhte
Lakho log chale hai sisakte
Kaha ho duniya ke rakhwalo
Ek najar in par bhi dalo

Dekho ye dukhio ki katare
Chhin rahi hai inki bahare
Ye sare insan lute hai
Inke sab arman lute hai
Inke sapne tut gaye hai
Sathi pichhe chut gaye hai
Aise hal hue hai inke
Jaise ho tufan ke tinke
Haye siyasat kitni gandi
Buri hai kitni thirka bandi
Aaj ye sab ke sab nar nari
Ho gaye raste ke bikhari

Lute hai lahko suhag gharo ke
Bujhe hai lakho chirag gharo ke
Puchho aaj kahenge ye mukhde
Kitni chidiyo ke ho gaye tukde
Dekho hamne ghar ko
Kis tarah bata hai
Ek hath ne hath dusra kata hai

Dekho ye ghayal takdire
Gum ki ye jinda taswire
Koi na isko suhagan kahna
Kahna ho to abhagan kahna
Kahi pe inke pyare chhin gaye
Kahi pe inke dulare chhin gaye
Inka dil kuch aisa hai tuta
Inko lagta hai jag jhutha
Inko hui hai jahan se nafrat - 2
Apni ye dukhiyaro bahne
Konsi duniya mein jaye rahne
Inko dhokha dene walo
Inse badla lene walo

Kaho inhone kya tha bigada
Inka ghar kyu tumne ujada
Chin liye kyu inke khilone
Kon sa pap kiya tha inhone
Lakho prani juda huye lachan bane
Karenge aisa dharam ki jo diwar bane - 3

With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts