Chandaniya Nadiya Beech Nahaaye

Deepak Dhande Fri 25th Sep 2015 : 13:13 Movie / Album - Anjaan (1956)

Chandaniya nadiya beech nahaaye, ye shital jal men aag lagaaye
Ke chanda dekh dekh muskaye,ho raama, ho raama,ho

Puchh rahi hai lahar-lahar,koun hai ye matawaali-2
Tan ki gori,chanchal chhori,gende ki ek daali
O.... o.... o.... o...
Roop ki chadhati dhoop, sunhera rang aaj barasaaye
Ho raama, ho raama, ho

Chandaniya nadiya beech nahaaye, ye shital jal men aag lagaaye
Ke chanda dekh dekh muskaye,ho raama, ho raama,ho

Parabat-parabat ghoom ke aaee,ye albeli dhaara-2
Kyaa jaane kis aasmaan se tuta hai ye taara
O.... o.... o.... o...
Shola ban ke phool kanwal ka,jal men baheta jaaye
Ho raama, ho raama, ho

Chandaniya nadiya beech nahaaye, ye shital jal men aag lagaaye
Ke chanda dekh dekh muskaye,ho raama, ho raama,ho


With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts