Pyare Pyare Sapne Hamare

Singer: Rewa Shankar, Ashok Kumar
Writer: Kavi Pradeep
Composer: Pannalal Ghosh
Movie/Album: Anjan (1941)

 Pyare pyare sapne hamare - 4

Janam janam tak sang rahe ham - 2
Kabhi na ho nyare
Janam janam tak sang rahe ham
Kabhi na ho nyare
Pyare pyare sapne hamare - 2

Ek hamara rajmahal ho
Jamuna kinare - 2
Ek hamara rajmahal ho
Jamuna kinare
(Ham vaha par rahenge aise
Jaise gagan me tare) - (2)
Pyare pyare sapne hamare - 2

(Ek dor me band gaye ab to
Man hamare tan hamare
Jivan hamare) - (2)
Hamko lag na kar sakenge
(Hamko lag na kar sakenge
Duniya ke ishare) - (2)
Pyare pyare sapne hamare - 2