Jawa Hai Mohabbat Hasi Hai Jamana

Singer: Noor Jehan
Writer: Tanvir Naqvi
Composer: Naushad
Movie/Album: Anmol Ghadi

 Jawa hai mohabbat hasi hai jamana

Lutaya hai dil ne, khushi kaa khajana
Jawa hai mohabbat........

Mohabbat kare, (khush rahe muskuraye -2)
Naa soche hame kya kahega jamana
Jawa hai mohabbat........

Abhi tak mujhe, (yad hai woh kahani -2)
Naa bhulega bachapan kaa rangin jamana
Jawa hai mohabbat........

Kya ankho ankho me baten huyi hain - (2)
Kisine naa dekha kisine naa jana
Jawa hai mohabbat........

Tum aaye ke bachpan mera, laut aaya, laut aaya
Mila hai mujhe jindgi kaa bahana
Jawa hai mohabbat........