Socha Tha Kya Kya Ho Gayaa

Singer: Suraiya
Writer: Tanvir Naqvi
Composer: Naushad
Movie/Album: Anmol Ghadi

Socha tha kya kya ho gayaa

Apna jise samajhe the ham, afsos woh apna naa tha
Socha tha kya............

Gairo kee iname kya khata, karte hain apano se gila
Kya ho gaya, kya ho gayaa
Socha tha kya............

Ai dil naa ro, hairan naa ho, hona tha jo woh ho gaya
Rone se abb kya fayada, (kya ho gaya -2)
Socha tha kya............

Jo kuchh bhi dekha khwab tha, iss khwab ko abb bhul ja, bhul ja
Kya ho gaya, kya ho gayaa
Socha tha kya............