Jamane Me Khushi Ke Sath

Singer: Talat Mahmood
Writer: Shakeel Badayuni
Composer: Naushad
Movie/Album: Babul

 Jamane me khushi ke sath, lakho gam bhi hote hain

Jahan shehnayi bajti hain, wahan matam bhi hote hain

Meraa jivan sathi bichhad gaya, (lo khatam kahani ho gayi -2)

Kismat ne kiye jo dil pe sitam, do chahnewale mil naa sake - (2)
Kehne ko bahar aayi thi magar, do phul khushi ke khil naa sake
Armano kaa gulshan ujad gaya
Barbaad jawani ho gayi, lo khatam kahani ho gayi

Dil deke yahan sab har gaye, duniya me hamari jit kahan - (2)
Hotho pe hain shikwe kismat ke, woh pyar bhare abb git kahan
Jab khel he dil kaa bigad gaya
Har bat purani ho gayi, lo khatam kahani ho gayi