Dushman Na Kare Dost Ne Woh

Deepak Dhande Sun 20th Sep 2015 : 05:25 Movie / Album - Aakhir Kyon

(Dushman na kare dost ne woh kaam kiya hai - 2
Ummr bhar ka ghum humein inaam diya hai) - 2

Tufaan mein hum ko chhod ke saahil pe aa gaye - 2
Saahil pe aa gaye
Naa khuda ka humne inhe naam diya hai
Ummr bhar ka ghum humein inaam diya hai
Dushman na kare o o o ....

Pahale to hosh chhin liye julmon sitam se - 2
Julmon sitam se
Diwaanagi ka fir humein iljaam diya hai
Ummr bhar ka ghum humein inaam diya hai
Dushman na kare o o o ....

Apane hi giraate hain nasheman pe bijaliya - 2
Nasheman pe bijaliya
Gairon ne aake phir bhi use thaam diya hai
Ummr bhar ka ghum humein inaam diya hai

Dushman na kare dost ne woh kaam kiya hai
Ummr bhar ka ghum humein inaam diya hai

With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts