Ek Bar Dharti Par Aakar

Deepak Dhande Wed 30th Sep 2015 : 14:17 Movie / Album - Banjaarin

Ek bar dharti par aakar dekh jara bhagwan
Tere hatho aaj huwa barabad tera insan
Dekh jara bhagwan, (aakar dekh jara bhagwan -2)

Julm kiya kyon palanhare, chita ban gayi hai dware dware
Mann ki godi aaj bani hai ek jalta shamshan
Dekh jara bhagwan, (aakar dekh jara bhagwan -2)

Bichhad gaya hai bahan se bhayi, dulhan ki tuti shehanayi
Hay pita ne marte dekha apna putra javan
Dekh jara bhagwan, (aakar dekh jara bhagwan -2)

Mandir ki ro rahi divare, masjid bhi abb yahi pukare
Wahi hai dharti, wahi gagan hai, kaha tera iman
Dekh jara bhagwan, (aakar dekh jara bhagwan -2)

Tera dekha kub tamasha palat gaya kismat kaa pasa
Badal dal abb nam too apna o rahbar rehman
Dekh jara bhagwan, ek bar dharti par

Aakar dekh jara bhagwan - (2)

With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts