Nadiya Kinare Pe Hamara Bagan

Deepak Dhande Wed 30th Sep 2015 : 16:44 Movie / Album - Barsaat Ki Ek Raat

Nadiya kinare pe hamara bagan
Hamare bagano me jhume aasman ho....

Darpan sa chamke re titasa kaa pani
Mukh dekhe pani me bhor suhani ho....
Shiv ji ke mandir me jage bhagwan
Hamare bagano me jhume aasman ho....

Panchi ho koyi toh pinjara banaoo
Bandi ho koyi toh mai pehra bichhau ho....
Bas me naa aaye re man beiman
Hamare bagano me jhume aasman ho....

Kisi jadugar ne chanda suraj banaye
Ek nikale bahar ek chhupaye ho....
Khel hai jadu sa sara jaha
Hamare bagano me jhume aasman ho...

With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts