Kitane Saawan Baras Gaye

Deepak Dhande Wed 30th Sep 2015 : 17:47 Movie / Album - Bees Saal Baad (1989)

Aaja aaja aaja aaja aaja aaja
Kitane saawan baras gaye mere pyaase naina taras gaye - (2)
Mere mann mein biraha ka geet ban gayi aag aaya hai tu
Bees saal baad - (4)
Kitane saawan baras gaye mere pyaase naina taras gaye
Mere mann mein biraha ka geet ban gayi aag aaya hai tu
Bees saal baad - (2)
Aaja aaja aa......ja

Main teri birahan hoon sajana - (2)
Aa pehana de mujhako kangana - (2)
Sun le meri dard bhari yeh fariyaad aaya hai tu
Bees saal baad - (4)

Dipak tuta jyot hai baaki - (2)
Marake bhi meri maut hai baaki - (2)
Meri chita tu hi jala kar aajaad aaya hai tu
Bees saal baad - (4)

Aa tujhako kuchh yaad dilaau - (2)
Beetein dino ki baat sunaau - (2)
Ek tha gul ik bulbul, ik saiyaad aaya hai tu
Bees saal baad - (2)
Kitane saawan baras gaye mere pyaase naina taras gaye
Mere mann mein biraha ka geet ban gayi aag aaya hai tu
Bees saal baad - (4)
Aaja aaja aaja aaja aaja aaja aaja aaja..........

With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts