Ankhiya Gulabi Jaise

Deepak Dhande Wed 30th Sep 2015 : 18:27 Movie / Album - Beqasoor

(Ankhiya gulabi jaise, (mad kee hain pyaliya - (2)
Jagi huyee aankho me, (sharam kee hain laliya - (2)- (2)

Din hain jawani ke, ulfat kee rate - (2)
Taaro kee chhanv me hain pyar bhari bate - (2)
Sulajhi huyee lato me ho ho ho....
Sulajhi huyee lato me ulajh gayee baliya
Ankhiya gulabi jaise, (mad kee hain pyaliya - (2)
Jagi huyee aankho me, (sharam kee hain laliya - (2)

Duniya meree aankho me hai tere kayal kee - (2)
Bhari huyee phulo se hai jholi sawal kee - (2)
Khili hain baharo me ho ho ho........
Khili hain baharo me phulo kee daliya
Ankhiya gulabi jaise, (mad kee hain pyaliya - (2)
Jagi huyee aankho me, (sharam kee hain laliya - (2)

Aadhi aadhi rat koyee kahe jagaye re - (2)
Najuk kalayi mori bal kha naa jaye re
Aadhi aadhi rat koyee kahe jagaye re
Sun sun kush huye ho ho ho.......
Sun sun kush huye mithi mithi galiya
Ankhiya gulabi jaise, (mad kee hain pyaliya - (2)
Jagi huyee aankho me, (sharam kee hain laliya - (2)

With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts