Chanchal Hai Aankhein Tumhaari

Deepak Dhande Sun 11th Oct 2015 : 06:09 Movie / Album - Chal Chala Chal

Chanchal hai aankhein tumhaari, natkhat hai aankhein tumhaari
Chupake se sach bolati hai, tumako yeh pata bhi nahi hai
Mujhase yeh kya keh rahi hai
(Jab teri kismat hai ruthi huyi, jindagi ki ladi bhi hai tuti huyi
Hum duniya basaane chale) - (2)

Yeh majburiyaan yuun na rahengi sada
Kyon tujhako lage waqt na badlega
Haalat hai khasta teri, dil ko jara sa sambhaal
Haath tere stupid hai, bheje se inako nikaal
Hey hey hey la la la la
Chhat se hai paani tapak raha, aur darwaaja hai latak raha
Hum duniya basaane chale
Jab teri kismat hai ruthi huyi, jindagi ki ladi bhi hai tuti huyi
Hum tum basaale chale

Kehati hai taaron ki tim tim, kehati hai saawan ji rimjhim
Kehati hai har shay yeh mujhase, dil ki main baat bata du
Chulhe mein teri aag nahi, saabun mein tere jhaag nahi
Dhila hai aata kangaali mein, chhed huwa hai khaali mein
Hey hey aa haa haa haa haa
Sar par itana udhaar hai, tujhako dikhati bahaar hai
Hum duniya basaane chale
Chhat se hai paani tapak raha, aur darwaaja hai latak raha
Hum duniya basaane chale
(Jab teri kismat hai ruthi huyi, jindagi ki ladi bhi hai tuti huyi
Hum duniya basaane chale) - (2)

With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts