Tujhe Bhulake Maati Ki Putali Par

Deepak Dhande Sun 11th Oct 2015 : 18:23 Movie / Album - Chandi Sona (1977)

Tujhe bhulake maati ki putali par koyi mann ki khidaki khol raha
Jisame tera naam nikale usame jag chaandi sona tol raha
Apana kya hai hum toh anjaane, ho teri duniya kaisi tu jaane - (2)
Jivan path pe nikale do pal ko, hum toh apane ji ko behlaane
Ho teri duniya kaisi tu jaane, yaara duniya kaisi tu jaane

(Tune jab duniya yeh banaayi dharati ki chaadar failaayi
Chanda suraj ki jyot jagaayi) -2 o yaara o yaara
Par jisake liye jag tune racha, woh karke ise viraan raha
Dharti ki chaadar chhin chuka, abb chaand aur suraj maang raha
Yeh tere bando ke afsaane, ho teri duniya kaisi tu jaane
Jivan path pe nikale do pal ko, hum toh apane ji ko behlaane
Apana kya hai hum toh anjaane, ho teri duniya kaisi tu jaane

Ulati ganga jo bahe, jogi chup kaise rahe
Abb devata kuchh bhi nahi, maanwata kuchh bhi nahi
Yaaron se yaari gayi, o dildaari gayi
Aisi chhaaya tale hum deewaane bhale
Kaisa pyaar kaha ki dosti, kaisa rishta naata
Tere hote insaan tera shaitaan huwa o daata
Par yeh kyun keh rahe hum deewaane, teri duniya kaisi tu jaane
Jivan path pe nikale do pal ko, hum toh apane ji ko behlaane
Apana kya hai hum toh anjaane, ho teri duniya kaisi tu jaane

Jab dil mein paraaya dard uthe, duje ke tu kaam aaye yaara
Tab jaan mila jivan tujhako chaandi sone se bhi pyaara
Warna dhan daulat cheej hai kya, kahe ?? ek taara
Sab thaat pada raha jaayega jab laaj chalega banjaara
Kaam aayenge yahin pyaar ke najraane, ho teri duniya kaisi tu jaane
Jivan path pe nikale do pal ko, hum toh apane ji ko behlaane
Apana kya hai hum toh anjaane, ho teri duniya kaisi tu jaane

With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts