Nigaahein Ruk Gayin Haay Kahaan Par ... Kaise Baje Dil Ka Sitaar

Deepak Dhande Sun 11th Oct 2015 : 18:33 Movie / Album - Chandni Raat

Nigaahein ruk gayin haay kahaan par
Tadap kar rah gaya nagama zubaan par
Dhuwaan sa uth raha hai aasamaan par
Giri bijali kisi ke aashiyaan par

Kaise baje dil ka sitaar
Theins lagi tuut gaye taar
Bita huwa jiwan ka pyaar
Haay koyi aaj gaya haar

(Dil kahin aawaaz kahin
Nagama kahin saaz kahin) - 2
Dekh ye ghabaraayi nazar - 2
Khol na de raaz kahin - 2
O
Aaj kahe dil baar-baar
Naiya meri kaise lage paar

(Dil mein chhupaaye huye gam
Kaise rahuun rah na sakuun
Tuut pade mujh pe sitam
Aur main kuchh kah na sakuun) - 2
O
Git mein hai dil ki pukaar
Gaaye ja tu saajan ke dwaar

With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts