Jane Kaisa Hai Mera Deewana

Singer: Kishore Kumar, Asha Bhosle
Writer: Govind Munees
Composer: Laxmikant-Pyarelal
Movie/Album: Aansoo Ban Gaye Phool

Jane kaisa hai mera deewana, kabhi apna sa lage, kabhi begana

Badi bholi ho, ye bhi na jana, kabhi apno ko nahi kehte begana

Yu bhi jeeta tha magar koyi arman na the
Jab talak aap mere (dil ke mehman na the - 2)
Tumse meheka hai mera virana, kabhi apno ko nahi kehte begana

Main woh aazad ghata tumne jisse bandh liya
Apni aankho mein mujhe (naya aakash diya - 2)
Yahi chhota sa mera afsana, kabhi apna sa lage, kabhi begana

Kabhi chhede hai pawan kabhi chhede hain piya
Yahi to hoga sanam (tumne jab pyar kiya - 2)
Mere pas aao chhodo sharmana, kabhi apno ko nahi kehte begana