Sapnon Mein Aana Dil Mein Samana

Deepak Dhande Mon 12th Oct 2015 : 12:27 Movie / Album - Chor Aur Chand

Bala:
(Sapnon mein aanaa dil mein samaanaa
Pyaar kyaa hai mujhe tum bataanaa) -2

Anu:
Jee chaahtaa hai ne ye neend toote
Aankhon se ab to na sapnaa ye roothe
(Sapnon mein aanaa dil mein samaanaa
Pyaar kyaa hai mujhe tum bataanaa) -2

Bala:
(Main chor hoon tum chaadd gagan ke
Kaise hogaa apnaa milan ye) -2
Ke tum ho ujaalaa, andheron ne paalaa
Jatan se mujhe, lagan se mujhe

Anu:
Sapnon mein aanaa dil mein samaanaa
Pyaar kyaa hai mujhe tum bataanaa

Anu:
(Pahlaa ye ahsaas hai meraa
Koi to mere paas hai meraa ) -2
Agar hai ye sapnaa to lagtaa hai apnaa
Ke tum paas ho to sach kaash ho

Bala:
(Sapnon mein aanaa dil mein samaanaa
Pyaar kyaa hai mujhe tum bataanaa) -2

With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts