Kaun Hoon Main, Kya Naam Hai Mera

Deepak Dhande Tue 13th Oct 2015 : 13:55 Movie / Album - Dard Ka Rishta (1982)

Kya naam hai tumhaara
Tum kidhar se aaya, bolo na, bolo bolo

(Kaun hoon main, kya naam hai mera, main kahaan se aayi hoon
Main pariyon ki shehjaadi main aasmaan se aayi hoon) - (2)

Na jaapani gudiya hoon na main bagaal ka jaadu hoon - (2)
Dhund rahe ho tab jisako main wahin tumhaari khushbu hoon
Udakar sidhi main jannat ke gulsita se aayi hoon
Main pariyon ki shehjaadi main aasmaan se aayi hoon

Khaan chaaha aur chaube daada aapas mein kyun ladate ho - (2)
Maine unako dekha hai tum jinaki kitaabein padhate ho
Raam rahim wahin rehate hai main jahaan se aayi hoon
Main pariyon ki shehjaadi main aasmaan se aayi hoon

Ik din maine dekha ?? swarg ke peharedaaron ko - (2)
Tota maina waali kahaani hogi yaar hajaaron ko
Main uss tota mainawaali daastaan se aayi hoon
Main pariyon ki shehjaadi main aasmaan se aayi hoon
Kaun hoon main, kya naam hai mera, main kahaan se aayi hoon
Main pariyon ki shehjaadi main aasmaan se aayi hoon
La la la la la la la...........

With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts