Zindagi Ittafaq Hai

Deepak Dhande Fri 18th Sep 2015 : 17:03 Movie / Album - Aadmi Aur Insaan

Zindagi ittafaq hai - 2
Kal bhi ittafaq thi aaj bhi ittafaq hai
Zindagi ittafaq hai

Jaam pakad badha ke hath mang dua ghate na raat
Jaan e vafa teri kasam kahte hai dil ki baat hum
Ghar koi mel ho sake aankho ka khel ho sake
Apane ko khushanasib jaan vaqt ko meharaban maan
Milate hai dil kabhi kabhi varana hai ajanabi sabhi
Mere hamadam mere meharaban
Har khushi ittafaq hai - 2
Kal bhi ittafaq thi aaj bhi ittafaq hai
Zindagi ittafaq hai

Husn hai aur shabab hai zindagi qamayab hai
Bas yun hi khili rahe apani nazar mili rahe
Rang yun hi jama rahe vaqt yun hi thama rahe
Saaz ki lay pe jhum le zulf ke kham ko chum le
Mere kiye se kuchh nahi tere kiye se kuchh nahi
Mere hamadam mere meharabaan
Ye sabhi ittafaq hai - 2
Kal bhi ittafaq thi aaj bhi ittafaq hai
Zindagi ittafaq hai - 2

Koi to baat ki jiye yaar ka sath di jiye
Kabhi gairo pe apno ka gunah hota hai
Kabhi apne bhi najar aate hai beganese
Kabhi khwabo me chmkte hai murado ke mahel
Kabhi mahelo me ubhar aate hai virano se

Koi rut bhi saja nahi kya ho kab kuch pata nahi
Gum fijul hai gum na kar
Aaj to jasn gam na kar hum dum mere maherban
Har khusi ittafaq hai
Kal bhi ittafaq thi aaj bhi ittafaq hai
Zindagi ittafaq hai

Koi dekhu to is kadar dhundhti hai kise najar
Aaj malum hua pahele ye malum na tha
Chahte behke semane bhi ho jate hai achaa
Dil ke daman se lipat ti hui rangin najare
Dekhte dekhte anjan bhi ho jati hai - 2

Yaar jab ajnabi bane
Yaar jab berukhi bane dil pe sahe ja gila na kar
Sabse has ke mila najar
Mere hum dum maherban
Dosti ittafaq hai
Kal bhi ittafaq thi aaj bhi ittafaq hai
Zindagi ittafaq hai

With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts