Sab Kuch Karna Iss Duniya M

Deepak Dhande Wed 23rd Sep 2015 : 04:42 Movie / Album - Adaa

Sab kuch karna iss duniya me
Pyar na karna bhul ke
Kabhi kisi se apni aankhe
Char na karna bhul ke
Ji pyar na karna bhul ke
Sab kuch kehna yeh matt kehna
Pyar na karna bhul ke
Nazre mila ke ulfat se
Inkar na karna bhul ke
Ji pyar na karna bhul ke

Pyar kiya thha parwane ne
Shama ne usko jala diya
Jalne ka hi naam hai milna
Pyar ne unko mila diya
Milne ki iss reet ko tum
Aiktiyar na karna bhul ke
Kabhi kisi se apni aankhe
Char na karna bhul ke
Ji pyar na karna bhul ke

Pyar karoge pachhtaoge
Yeh duniya badnam karegi
Ee
Badnam karegi
Lakh kare badnam mohabbat
Apna ooncha naam karegi - 2
Aise oonche naam ka tum
Byopar na karna bhul ke
Kabhi kisi se apni aankhe
Char na karna bhul ke
Ji pyar na karna bhul ke

Pyar karenge nahi darenge
Bina pyar ke duniya kya hai
Duniya kya hai
Bina pyar ki duniya sachhi
Pyar ki duniya me dhokha hai
Pyar me dhokhe ki bate
Sarkar na karna bhul se
Kabhi kisi se
Sab kuch kehna yeh matt kehna
Pyar na karna bhul ke
Nazre mila ke ulfat se
Inkar na karna bhul ke - 2

Sab kuch kehna yeh matt kehna
Pyar na karna bhul ke
Nazre mila ke ulfat se
Inkar na karna bhul ke - 2

With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts