Sawan Ki Ghata Payal Ki Sada

Deepak Dhande Sat 19th Sep 2015 : 04:07 Movie / Album - Aag Aur Toofan

Sawan ki ghata payal ki sada
Kaliyo ki najakat kahte hai
Aye yar kahi tu wo to nahi
Jise log kyamat kahte hai
Sawan ki ghata

(In julfo ka jane raz hai kya
In aankho ka ye andaz hai kya) - (2)
Yu koi sitam dhaye to sanam
Hum usko inayat kahte hai
Sawan ki ghata

(Phulo ka guman bhi jhutha hai
Jannat ka bharam bhi tuta hai) - (2)
In sabse kahi wo jajba hasi
Jise teri mohabbat kahte hai
Sawan ki ghata

(Pucha hai sitaro se maine
Kyu nind nahi aati mujhko) - (2)
Hai teri kasam wo isko sanam
Teri hi sararat kahte hai
Sawan ki ghata payal ki sada
Kaliyo ki najakat kahte hai
Aye yar kahi tu wo to nahi
Jise log kyamat kahte hai
Sawan ki ghata

With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts