Muskhil Me Hai Kaun Kisi Ka
(Muskhil me hai kaun kisi ka
Samjho is raz ko) - (2)
Lekar apna nam kabhi
Tum khud ko awaz do
Mushkil me hai kaun kisi ka
(Jeene ka na shok rahe to
Kya rakha hai jine me) - (2)
Ek kaidi ki tarah pada hai
Kab se ye dil sine me
Pinjre ka darwaja todo
Panchhi ko parwaz do
Lekar apna nam kabhi
Tum khud ko awaz do
Mushkil me hai kaun kisi ka
Samjho is raz ko
Mushkil me hai kaun kisi ka
Dosto ye zindgi ek imathan hai - 2
Jeena to mushkil hai marana asan hai
Asan hai
O jeene walo zindgi ko ek andaz do
Lekar apna nam kabhi
Tum khud ko awaz do
(Mushkil me hai kaun kisi ka
Samjho is raz ko) - (2)
Aur nahi to kam se kam
Itni to taklif karo
Logo ki tarifo me
Kabhi apni bhi tarif karo
Sabse to tum khush ho
Apne aap se kyu naraj ho
Lekar apna nam kabhi tum
Khud ko awaz do
Mushkil me hai kaun kisi ka
Samjho is raz ko
Lekar apna nam kabhi tum
Khud ko awaz do
With All Lyrics Some Information Is required
- Writer / Poet -
- Composer -
- Singer -
- Movie / Album -