Bahut Din Huye Taro Ke Desh Me
Bahut din huye taro ke desh me
Chanda ki nagariya me rehte the ik raja
Baj raha tha dur dur unaki jay kaa baja
Baithe the partapi raja waise unki rani
Jaisa rup rang paya waisi gyani dani
Dono kee dulari ik bitiya thi pyari
Phul jaisi nazuk thi woh nam tha phul kumari
Andhi takdir ne andher kiya bhari
Chhini usake hontho se hansi woh pyari pyari
Phul kumari bhul gayi hasna muskurana
Lut liya bhag ne kushi kaa woh khajana
Magar yeh kaun, yeh kaisi awaz
Leke dil kaa sajh ham git gane aa gaye
He dil ke kaliyo ne kaha din suhane aa gaye
Gham ke badal hat gaye, khul gaya nila gagan
Har kali ko pyar se chhu gayi suraj kiran
Muskura lo jhum lo o jamane aa gaye
Leke dil kaa sajh ham git gane aa gaye
Sama albela din hain milan ke
Prit leke aayi dekho mit mere mann ke
Piya piya gaye jiya nache mann mora
Meri unki jodi jaise chand aur chakora
Naino me chhupaye phiru sapne sajan ke
Sama albela.........
Jinhe maine dil diya woh bhi rahe mere
Mann me manau mai sanjh aur savere
Jite jee naa tutegi yeh bandhan jiwan ke
Sama alabela..........
Jaise unake achhe din phir se laut aaye
Malik aise sabki sune sabke din lautaye
With All Lyrics Some Information Is required
- Writer / Poet -
- Composer -
- Singer -
- Movie / Album -