Dupatte Kee Girah Me Bandh Lijiye
Dupatte kee girah me bandh lijiye
Mera dil hai kabhee kam ayega
Dupatte kee girah me..........
Yeh mana tum hasin ho najanin ho, mere dil me tum hee pardanashin ho
Kaha le jaogi tum aisi surat, kabhee toh hogi sathi kee jarurat
Mera dil hai ise sathi bana lo, ise apni nigah me chupa lo
Dupatte kee girah me..........
Mere dil se abb naa daman bachhao, tumhe meri kasam hai tum pas aao
Mera dil pyar me duba huwa hai, tumhari yad me khoya huwa hai
Mera dil aapase badhkar hasin hai, hasino kee tarah katil nahee hai
Dupatte kee girah me..........
Jawani tak hain yeh sare jhamele, naa honge aasheeki ke phir yeh mele
Karegi yeh umar jab bewafayi, chura legi najar sari khudayi
Mera dil hee tumhen dega sahara, banega tufan me kinara
Dupatte kee girah me..........
With All Lyrics Some Information Is required
- Writer / Poet -
- Composer -
- Singer -
- Movie / Album -