Jara Najaron Se Keh Do Ji
Jara najaron se keh do ji nishaana chuk na jaaye
Jara najaron se keh do ji
Maja jab hai tumhaari har ada kaatil hi kehlaaye
Jara najaron se keh do ji nishaana chuk na jaaye
Jara najaron se keh do ji
Kaatil tumhe pukaaru ke jaane waha kahoon
Hairat pad gaya hoon ke main tumako kya kahoon
Jamaan hai tumhaara -2 chaahe jisaki jindagi le lo
Agar mera kahaan maano toh aise khel na khelo
Tumhaari ik sharaarat se na jaane kisaki maut aaye
Jara najaron se keh do ji nishaana chuk na jaaye
Jara najaron se keh do ji
Haay kitani maasun lag rahi ho tum
Tumako jaalim kahe woh jhuta hai
(Yeh bholaapan tumhaara -2 yeh sharaarat aur yeh shokhi
Jarurat kya tumhe talwaari ki tiron ki khanjar ki) - (2)
Najar bhar ke jise tum dekh lo woh khud hi mar jaaye
Jara najaron se keh do ji nishaana chuk na jaaye
Jara najaron se keh do ji
Humpe kyun iss kadar bigadati ho
Chhedane waale tumako aur bhi hai
Bahaaron par karo gussa ulajhati hai jo aankhon se
Hawaao par karo gussa jo takaraati hai julfon se
Kahi aisa na ho koyi tumhaara dil bhi le jaaye
Jara najaron se keh do ji nishaana chuk na jaaye
Jara najaron se keh do ji
With All Lyrics Some Information Is required
- Writer / Poet -
- Composer -
- Singer -
- Movie / Album -