Sadhu Se Sabandh Bina Mukti Kaa
Sadhu se sabandh bina mukti kaa har prayas adhura rehta hai
Sadhu se chhupaya kuchh bhee agar, sabandh dikhawa rehta hai
Sadhu se sabandh bina mukti kaa, mukti kaa, mukti kaa, mukti kaa
Sadhu se sabandh bina mukti kaa har prayas adhura rehta hai
Ek chalana hai uske wachan par hame, baki sab woh pura karta hai
Sadhu se sabandh bina mukti kaa, mukti kaa, mukti kaa, mukti kaa
Aad se mann ke parde kee dekhe jo ham, swarup hamko samaj aaye pura nahee
Sadhu ke wachan se jo dekhe agar, swarup pehchan payenge tab hee sahee
Jitne hamne gun samaje, utne toh gun de de hame woh
Prem nirpeksha de aisa kee, jag kaa pyar phika lagata hai
Ek chalna hai uske wachan par hame, baki sab woh pura karta hai
Chodo todo kee riti bataye sabhee, sadhu kahe modo-jodo prabhu me sabhee
Sewa bhagwan kee toh kare kar koyee, sadhu kehta karo sewa prabhu bhakt kee
Satsang me buddhi naa lagaye wahee bhaye sadhu ko
Uske anokhe ganit ke aage, har gnan jhotha thehara hai
Ek chalana hai uske wachan par hame, baki sab woh pura karta hai
Yeh galat woh sahee sochate rehte ham, apni buddhi kaa rehta hame hai garur
Karke mulyakan rehte abhavo me, kuchh naa milta apne dosh badhate jarur
Divya jisne sabako jana, aanand mastee me rahe woh
Murtee me jo magan use har koyee, sakar prabhu hee dikhata hai
Ek chalana hai usake wachan par hame, baki sab woh pura karta hai
With All Lyrics Some Information Is required
- Writer / Poet -
- Composer -
- Singer -
- Movie / Album -