Jo Kaka Ke Sahare Jite Hai

Deepak Dhande Sun 4th Oct 2015 : 03:59 Movie / Album - Bhajan

Jo kaka ke sahare jite hai, bat nirali hai unkee
Har roj dashera unka, har rat diwalee hai unkee

Swaminarayan bhajman pyare, chaurashi teree kat jayegee
Dur ho jayenge dukh tere sare, kismat teree khul jayegee

Kakajee kee sab par ek see najar hai
Raja ho ya rankh usko sabki phikar hai
Yaha rehmat ke bhare hai bhandare
Jholee bhee teree bhar jayegee

Kakajee ko sache dil se jisne pukara hai
Pragat ho ke kakajee ne diya sahara hai
Rom rom me too kaka ko basaley
Aatam teree sukh payegee

Tyagee nahee, naa sadhu, naa woh gruhee hai
Ladle prabhu ke putra kaka paramyogi hai
Chaitanya shilpio ke sarjak, sabke pranadhar chhe
Gunatit samaj ke yeh sarjanhar hai
Abhee swarup ham unka pehechane
Brahmrup aatma ho jayegee

Eksan kakajee ne ham par kiye hai
Dinkarbhai jaise swarup hame bhet me diye hai
Papajee swamijee saheb jaise swarup hame bhet me diye hai
Bapu gurujee tardev bhaio jaise swarup hame bhet me diye hai
Gunatit samaj ko bhet me diya hai
Anirdesh me hai, jalwe aur najre
Khushee hai khushee chahi rahegee

With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts