Samay Ka Pahiya Chalata Hai

Deepak Dhande Sun 4th Oct 2015 : 12:32 Movie / Album - Bhoothnath

Krodh ke bojh ko mann pe uthaaye kaahe chalata hai praani
Kshama jo shatru ko bhi kar de, wahi mukt hai, wahi gyani

(Samay ka pahiya chalata hai, din dhalata hai, raat aati hai
Raat mein jab ek chhota sa, nanha sa dipak jalata hai
Usaki jarasi jyot sahi, par dur se usako dekh koi barso ka musaafir
Girte girte sanbhalata hai) - (2)
Samay ka pahiya chalata hai, din dhalata hai, raat aati hai

Maine jaate jaate jaana kaun hai apna kaun paraaya - (2)
Bas tu hi mera apna hai, bas tune pyaar nibhaaya
Kaam krodh aur lobh main dhaj?? kar ja sakata hoon
Tujhko chaahu bhi toh main kaise bhula sakata hoon
Tera pyaar bhi ek bandhan hai, tu hi bata kya main mukti pa sakata hoon
Tu nahi jaanata tu mera abb hai kya
Tujhko hoon dekhata toh dil kaise pighalata hai
Samay ka pahiya chalata hai, din dhalata hai, raat aati hai

Din mein soya, raat aayi toh abb jaaga soya kab tha - (2)
Abb kya suraj dhunde pagale, dub gaya suraj kab ka
Barso pehle jo thi ik nadi pyaar ki beh gayi woh nadi
Haath abb tu kya malata hai
Samay ka pahiya chalata hai, din dhalata hai, raat aati hai
Raat mein jab ek chhota sa, nanha sa dipak jalata hai
Usaki jarasi jyot sahi, par dur se usako dekh koi barso ka musaafir
Girte girte sanbhalata hai
Samay ka pahiya chalata hai, din dhalata hai, raat aati hai

Aasma mein jagmag taare, meri aankh mein jhilmil aansu
Kaha chhupa hai koi isaara toh de de tu

With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts