Khamoshiyan Anjaan Si (club Mix)

Deepak Dhande Tue 13th Oct 2015 : 12:45 Movie / Album - Dahek - A Restless Mind

(Khaamoshiyaan anjaan si
Thehari nazar lambi kahin
Ehsaas wo hai laajami
Gila sa mann, jina vahi
Kaisi kasak hain dhadakano mein
Saanso mein aag si hain
Na jaane kyon tanha hain gumnaam si jindagi) - 2

(Yaadon ke pehare hain, kwaabon ke sehare hain, gujare sunehare wo pal
Bechain arma ye, pal bhar ka mehma hain, ye dil na aise machal) - 2
Gam ka ye mausam hain, waqt hi to marham hain, hairaan hain kyun jindagi

Khaamoshiyaan anjaan si
Thehari nazar lambi kahin

(Apane liye jinewaale kya rakhenge auron ke dil ka khabar
Hain aaj kal tha jo, kal phir ye ho na ho, chalata rahega safar) - 2
Kaatil iraade hain, matlab ke waade hain, majhdaar mein jindagi

Khaamoshiyaan anjaan si
Thehari nazar lambi kahin
Ehsaas wo hai laajami
Gila sa mann, jina vahi
Kaisi kasak hain dhadakano mein
Saanso mein aag si hain
Na jaane kyon tanha hain gumnaam si jindagi

With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts