Ganapati Apne Ganv Chale
Ganapati bappa morya, pudhchya varshi laukar ya
Moraya re, bappa moraya re - (4)
Ganapati apne ganv chale, kaise hamko chain pade
Jisne jo manga usne woh paya, raste pe hain sab log khade
Ganapati bappa dukh harata, dukh harata bhayi dukh harata
Das din ghar me aan rahe, bhakto ke mehaman rahe
Sare shehar me dhoom machi, josh se janata jhoom uthi
Unako pyare sab insan raja rank hain ek saman
Dukh harta bhayi dukh harta
Kisi ko kuchh wardan diya, kisi ko koyi gyan diya
Hain chale sabhi ko kush karke, khali khali jholiyo ko bharke
Ayenge sal ke bad idhar, log karenge yad magar
Thode hee din rahe, thode dino me karke chale yeh kam bade
Sare ghar unako ghar hain, unako ek barabar hain
Unche mahal amiro ke ho ya ham gariban ke jhopade
Mast pawan yeh phir le aayi, maujo kee naiya layi
Ganapati us par chale, lekar sabaka pyar chale
Saphal huyi sabaki puja, aisa naa koyi bin duja
Ghata gagan par laharayi, ghadi visarjan kee aayi
Bhul chuk ho maf hamari, ham sab hain bade nadan bade
With All Lyrics Some Information Is required
- Writer / Poet -
- Composer -
- Singer -
- Movie / Album -