Chand Rato Ko Nikle Na Nikle
Chand rato ko nikle na nikle - 2
Din me suraj na chamke to kya hai
Apne chote se ghar me ujala
Ab sada ke liye ho gaya hai
Chand rato ko nikle na nikle
Din me suraj na chamke to kya hai
Ek hasi iski hai sari duniya meri
Ek muskan so sal ki zindagi
Mujhko duniya me ab or kya chahiye
Mil gayi hai jamane ki sari khushi
Maine kal ko jo dekha tha sapna
Aaj kismat se pura hua hai
Apne chhote se ghar me ujala
Ab sada ke liye ho gaya hai
Chand rato ko nikle na nikle
Din me suraj na chamke to kya hai
Har ghadi har samay muskurata hua
Phul sa bachpana meri baho me ho
Lal mera bada hoke jaye jaha
Kamyadi sada iski raho me ho
Dur har dum rahe gum ke saye
Ye hamesha hi meri dua hai
Apne chote se ghar me ujala
Ab sada ke liye ho gaya hai
Chand rato ko nikle na nikle
Din me suraj na chamke to kya hai
With All Lyrics Some Information Is required
- Writer / Poet -
- Composer -
- Singer -
- Movie / Album -