Swapn Se Saanidhya Mera

Deepak Dhande Sun 11th Oct 2015 : 07:29 Movie / Album - Chand Ke Saath

Swapn se saanidhya mera, swapn se abhisaar mera - (2)
Swapn hi manjil hai meri - (2)
Swapn hi vyaapaar mera
Swapn se saanidhya mera, swapn se abhisaar mera - (2)

Main diwa swapnon ka pranayi, swapn mere sakha sehchar - (2)
Swapn hi meri dharohar - (2)
Swapn hi sansaar mera
Swapn se saanidhya mera, swapn se abhisaar mera - (2)

(Iss rupehale swapn ko apana banaana chaahata hoon
Swapn ki iss reeti ka main geet gaana chaahata hoon) - (2)
Swapn jo bhi bha gaye unako dhara par la chuka hoon
Aaj tak anginat sapane - (2)
Main swayam apana chuka hoon
Swapn se saanidhya mera, swapn se abhisaar mera - (2)

(Swapn ko apana banaana swapn ko ati paas laana
Swapn ka abhishek kar uss swapn ko puja banaana) - (2)
Iss kala mein main nipunata jagat ko dikhala chuka hoon
Iss tarah main kayi sapane - (2)
Ji chuka hoon ga chuka hoon
Swapn se saanidhya mera, swapn se abhisaar mera - (2)
Swapn hi manjil hai meri -2 swapn hi vyaapaar mera
Swapn se saanidhya mera, swapn se abhisaar mera - (2)

With All Lyrics Some Information Is required

  • Writer / Poet -
  • Composer -
  • Singer -
  • Movie / Album -

Some Other Posts